jueves, 21 de octubre de 2010

viernes, 14 de mayo de 2010



♥ღMeri Duniya Mein Aa Kay Mat Ja ღ♥ღ
d


Mohabbat khud bhi nafrat hai
Mohabbat Pyaar bhi karti hai
Mohabbat Pyaar hai Dil ka
Mohabbat esaar bhi karti hai
Mohabbat kaam hai dukh ka
Mohabbat naam hai sukh hai
Mohabbat naam hai is ka
Mohabbat is hi ko kehte hain
Mohabbat karke dekho to
Mohabbat kya nahi karti



Na koi kisi se door hota hai, Na koi kisi ke kareeb hota hai, Pyar khud chal kar aata hai, Jab koi kisi ka naseeb hota hai.

'O meri jaan 'i s the song. singer is Baby H.Thats all I know.thank you

Main aik aur pagli ko jaanta hoon jis se behtar koi nahin jaan sakta..

viernes, 7 de mayo de 2010

kese kahe kitni mohabbat hai

ik pal ke liye duniya....ik pal ke liye zindegi ba itni mohabbat hai

Duwa karna yaro juda ho rahe hai,

Rahi zindagi to fir aaker milenge..
Ager mergaye to duwa karte rehna,
Aansun bahane ki koshish na karna

A duniya badi bewafa hai samajhna,
Kahin dil lagane ki koshish na karna.
Mere doston zindagi ek safer hai samajhna,
Kahin thaher jane ki koshish na karna.

Danishon ki duniya hai sari,
Alfazon ka mydan hai sara.
Zer aur zaber ko pehechan na pao,
To mydan me aane ki koshish na karna.

Kashti ummidon ki ger sahil na paye,
To khud dub jane ki koshish na karna.
Kadam pe andhera karegi ye duniya,
Kahin dil jalane ki koshish na karma.

Kabhi ro ke muskuraye , kabhi muskura ke roye,
Jab bhi teri yaad aayi tujhe bhula ke roye,
ek tera hi to naam tha jise hazar bar likha,
Jitna likh ke khush hue us se jayada mita ke roye.

Akela sa mehsus karo jab tanhai me,
Yaad meri aye jab judai me,
Mehsus karna tumhare karib hu me,
Jab chahe dekh lena apni hi parchai me.

Kadam yuhi dagmaga gaye raaste me,
Warna sambhlna hum bhi jaanthe the,
Thokar bhi lagi tho us pathar se,
Jise hum apna mante the.

Kaash woh samajthe is dil ki tadap ko,
Tho yun humein ruswa na kiya hotha.
Unki ye berukhi zulm bhi manzoor thi humein,
Bas ek baar humein samaj-liya hota

Wo roye to bahut, par mujhse muh mod kar roye
Koi majburi hogi to dil tod kar roye
Mere samne kar diye mere tasveer ke tukde
Pata chala mere piche wo unhe jod kar roye

Mere khwabon mein aana aapka kasur tha
Aapse dil lagana hamara kasur tha
Aap aaye the zindagi mein pal do pal ke liye
Aapko zindagi samajh lena hamara kasur tha…

jueves, 6 de mayo de 2010

is ada ka kya jawab du,Apne dost ko kya uphar du,Koi acha sa phool hota to mali se mangwate,Jo khud gulab hai usko kya gulab du…
Rab ne jab tujhe banaya hogaEk surur uske dil mein aya hoga,Sochta hoga kya doonga tohfe mein tujhe,Tab usne mujhe banaya hoga.
Kaash ham SMS hote,Ek click mein tumhare paas hote,Bhale tum hame delete kar dete,Par kuch pal ke liye ham tumhara ehsas to hote…!
Tanhaion me unko hi yaad karte hain,Wo salamt rahe yahi fariyad karte hai,Ham unke hi mohabbt ka intzar karte hai,Unko kya pata hum unse kitna pyaar karte hai.
Ek din hamare annsoon humse pooch baithe,humey roz -roz kyon bulate ho,Humne kaha hum yaad to unhe karte hain tum kyon chale aate ho.
Har phool ki ajab kahani hai,chup rehna bhi pyar ki nishani hai,kahin koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai,lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai
Kismat par aitbar kisko hai,Mil jaye khushi inkaar kisko hai,Kuch majburian hain mere dost,Warna judai se pyaar kisko hai
Kal mila waqt to zulfein teri suljha doonga,Aaaj uljha hoon zara waqt ko sulajhane mein,Yun to sulajh jatee hain uljhi zulfein,Umar kat jati hai waqt ko sulajhane mein.
darte hai aag se kahi jal na jayedarte hai khwab se kahin toot na jayelekin sabse ziyada darte hai aapsekahin aap hume bhool na jaye..



Jaane yeh pyar hota kyon hai?Naam kuch bhi khe lo par deta sirf dard hai yeh..Ek tanhai..aur aansu ke siwa yeh deta kuch nahi,Jaane yeh pyar hota kyon hai?Pyar mein dil tutete dekh hame socha tha pyar kabhi na karenge,Par tum hi to they jisne kaha tha, pyar kushiya deta hai,Tum wahi ho na jo bich ra mein muh modgaye,Bina mud ke dekhe ek baar hame uhi chod gaye…Jaane yeh pyar hota kyon hai?Kaha gayi tum ne kahi wo baaten..Zindagi bar kushiya dene ke waade..Sab pal mein bula diya tumne,Ghero ko kya dosh dein, apna hokar rula diya tumne,Jaane yeh pyar hota kyon hai?


domingo, 18 de abril de 2010

kitni mohabbat hai

kese kahe kitni mohabbat hai

viernes, 16 de abril de 2010

Najane kya he us ki udaas ankoon main.
Nazar chura ke ju guzree to bewafa na lage.

Noor hai, husn hai, taz’een hai, zeebaish hai
Hai to bus aik dukhi rooh ki gunjaish hai
.






Hai bas k har ek un k eeshaarey meiN nishaaN aur
Kartay haiN mohabbat to guzarta hai gumaaN aur



Baton Se Ab Dil Ko Behlaya Nahi Jata
JinKi Muhabbat Mein Mahtab Howay Ruswa
Ahd e Wafa Un Say Nibhaya
Nahi Jata












******************************************
"Raat Mein Khayaalon Mein Aati Ho Tum"

Raat Mein Khayaalon Mein Aati Ho Tum
Kabhi Saamne Aakar Bhi Dekho
Hum Se Baatein To Roz Karte Ho Tum
Kabhi Humaari Taraf Muskuraakar Bhi Dekho
Humaari Nazar Bohat Kuch Keh Deti Hai
Kabhi Hamein Nazron Se Samjh Kar To Dekho
Humse Dosti Ka Rishta Hai Tumhaara
Kabhi Ham Say Dil Lagaa Kar To Dekho

Humaari Baton Ne Tumhaara Dil Kai Baar Behlaaya Hai
Kabhi Apni Baton Se Hamein Hasaa Kar To Dekho
Mujhse Milkar Anjaane Mein Dil Mein Basne Lagti Ho
Kabhi Hamein Bhi Apne Dil Mein Basaa Kar To Dekho
Har Mushkil Rah Be Aasaan Ho Jaayegi Bus
Hum Par Ik Baar Eitbaar Kar Ke To Dekho
Hum Tumhein Zindagi Mein Har Khushi Denge
Bus Ek Baar humse Pyaar Kar Ke To Dekho

Tumhein Apaane Ke Liye Har Imtihaan Denge Hum
Humein Kabhi Aazmaa Kar To Dekho
Tum Kehte Ho Ke Bohat Mushkil Hai Mujhe Apnaa
Ek Baar Hamein Apna Banaa Kar To Dekho