jueves, 6 de mayo de 2010

is ada ka kya jawab du,Apne dost ko kya uphar du,Koi acha sa phool hota to mali se mangwate,Jo khud gulab hai usko kya gulab du…
Rab ne jab tujhe banaya hogaEk surur uske dil mein aya hoga,Sochta hoga kya doonga tohfe mein tujhe,Tab usne mujhe banaya hoga.
Kaash ham SMS hote,Ek click mein tumhare paas hote,Bhale tum hame delete kar dete,Par kuch pal ke liye ham tumhara ehsas to hote…!
Tanhaion me unko hi yaad karte hain,Wo salamt rahe yahi fariyad karte hai,Ham unke hi mohabbt ka intzar karte hai,Unko kya pata hum unse kitna pyaar karte hai.
Ek din hamare annsoon humse pooch baithe,humey roz -roz kyon bulate ho,Humne kaha hum yaad to unhe karte hain tum kyon chale aate ho.
Har phool ki ajab kahani hai,chup rehna bhi pyar ki nishani hai,kahin koi zakhm nai phir bhi kyun dard ka ehsas hai,lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi uske paas hai
Kismat par aitbar kisko hai,Mil jaye khushi inkaar kisko hai,Kuch majburian hain mere dost,Warna judai se pyaar kisko hai
Kal mila waqt to zulfein teri suljha doonga,Aaaj uljha hoon zara waqt ko sulajhane mein,Yun to sulajh jatee hain uljhi zulfein,Umar kat jati hai waqt ko sulajhane mein.
darte hai aag se kahi jal na jayedarte hai khwab se kahin toot na jayelekin sabse ziyada darte hai aapsekahin aap hume bhool na jaye..



Jaane yeh pyar hota kyon hai?Naam kuch bhi khe lo par deta sirf dard hai yeh..Ek tanhai..aur aansu ke siwa yeh deta kuch nahi,Jaane yeh pyar hota kyon hai?Pyar mein dil tutete dekh hame socha tha pyar kabhi na karenge,Par tum hi to they jisne kaha tha, pyar kushiya deta hai,Tum wahi ho na jo bich ra mein muh modgaye,Bina mud ke dekhe ek baar hame uhi chod gaye…Jaane yeh pyar hota kyon hai?Kaha gayi tum ne kahi wo baaten..Zindagi bar kushiya dene ke waade..Sab pal mein bula diya tumne,Ghero ko kya dosh dein, apna hokar rula diya tumne,Jaane yeh pyar hota kyon hai?


No hay comentarios:

Publicar un comentario